Yeh Dil Tum Bin Kahin Lagta Nahin Lyrics | Yeh Dil Tum Bin Kahin Lagta Nahin song is from the movie Izzat starring Dharmendra and Jayalalitha, this song is sung by Lata Mangeshkar, and Mohd Rafi, with music by Laxmikant Pyarelal, and lyrics by Sahir Ludhianvi


Yeh dil tum bin kahin lagta nahin
Hum kya karen
Yeh dil tum bin kahin lagta nahin
Hum kya karen
Tasavur mein koi basta nahin
Hum kya karen
Tumhi kehdo ab e jaane wafa
Hum kya kare

Lute dil mein diya jalta nahin
Hum kya karen
Tumhi kehdo ab e jaane ada
Hum kya karen

Yeh dil tum bin kahin lagta nahin
Hum kya karen

Kisi ke dil mein bas ke dil ko tadpana nahin achha
Kisi ke dil mein bas ke dil ko tadpana nahin achha
Nighaon ko chhalkate dekhe chhup jaana nahin achha
Ummidon ke khile gulshan ko jhulsana nahin achha

Hume tum bin koi jachta nahin
Hum kya karen
Tumhi kehdo ab e jaane wafa
Hum kya kare

Lute dil mein diya jalta nahin
Hum kya karen

Mohabbat kar to le lekin mohabbat raas aye bhi
Mohabbat kar to le lekin mohabbat raas aye bhi
Dilon ko bojh lagte hain kabhi zulfon ke saaye bhi
Hazaron gum hai is duniya mein apne bhi paraye bhi

Mohabbat hi ka gum tanha nahin
Hum kya karen
Tumhi kehdo ab e jaane ada
Hum kya karen

Yeh dil tum bin kahin lagta nahin
Hum kya karen

Bujha do aag dil ki ya ise khul kar hawa de do
Bujha do aag dil ki ya ise khul kar hawa de do
Jo iska mol de paaye use apni wafa de do
Tumhare dil mein kya hai bas hume itna pata de do

Ke ab tanha safar katta nahi
Hum kya karen
Lute dil mein diya jalta nahin
Hum kya karen

Yeh dil tum bin kahin lagta nahin
Hum kya karen

SongYeh Dil Tum Bin Kahin Lagta Nahin
MovieIzzat
SingerLata Mangeshkar, Mohd Rafi
MusicLaxmikant Pyarelal
LyricsSahir Ludhianvi
LabelSaregama Music